Tuesday 4 December 2012

Intezaar nahin hai Tumhara



Tumhare kadmo ke nishaan
Mujhe aaj bhi bulate hain
Main kuch samay unhe dekh bitata zaroor hoon
Par ab intezaar nahin karta tumhara

Is busy si duniya mein apni
Kuch pal apni zindagi ke
Tumhe yaad kar k bitata zaroor hoon
Par ab intezar nahin karta tumahara


Der raat tak jab neend nahin aati
To tumhari tasveer dekh
Saari raat guzarta zaroor hoon
par ab intezar nahin karta tumhara

Wednesday 25 April 2012


TUM DIKHTI HO


Har chehra tumsa dikhta hai
Har chehre mein tum dikhti ho
Kuch chehre tumse milte hain
Kuch ada tumhare jaisi hai

Kuch jhalak tumhari aisi hai
Ki sab mein hi tum dikhti ho
Kuch nazar humari aisi hai
Jo tumko hi dhoonda karti hai

Palko pe tumko rakha hai
Nazar khulti hai tum dikhti ho
Jo band karloon aankhon ko to
Band karte hi tum dikhti ho

Ab itna yaad karte hain 
Har pal hi bas tum dikhti ho
Jo so jaata hoon raato ko 
Sapne mein phir tum dikhti ho

Monday 5 December 2011

Harkat



Aaj Phir koi harkat hui hai
Laga kaano mein kuch keh ke
Chup gayi ho tum kahin aas paas mere
Aur dekh rahi ho mujhe
Deewar ki kisi chorr se

Main dhund rha hoon tumko
Aur tumhe sunne ki koshish bhi ki hai maine
Ek hasi gunj rahi hai bas
Chaaro taraf se
Samajh nahin aa rha
Kahaan jaaun??
Kahaan dhundu tumhe

Phir aawaz deke tumne
Mujhe kareeb bulaya hai
Aur phir main tumhare saath ho liya hooon
Na to bhaar hai koi Dil mein
Na duniya ki parwah...

Tuesday 20 September 2011

KAVITA


Is baar jab main,
Apni kavita se ru-ba-ru hua,
To pooch liya maine ek sawaal
Jo kuch waqt se mere zehan mein 
goonj raha tha,
Ki "Tu har dafa ek hi si kyun ho reh jaati hai??"

To kavita ne bhi Guroor mein,
Jawab de diya mujhko,
Ki main to tumhari soch hoon,
Jo soch badloge apni,
To main khud-ba-khud badal jaaungi

Woh tareek (अँधेरी) ki raat
Main apni soch ki taakub (खोज) mein 
Saari raat dooba raha
Ki kahin mil jaaye mujhko ,
To kehdoon use,
Ki ab badal jaa,
Kaafi waqt  ho chukka hai……

Monday 11 July 2011

Kal Raat Kuch Ajeeb Thi

Kal raat kuch Ajeeb thi,
So raha tha Main...
Magar Aadhi hi Neend thi,
Shayad koi Sapna dekha tha Maine
Subah utha to aankh kuch dhundli thi....

Kuch Tumhari Yaad bhi Dhundli ho gayi hai,
Us Sapne ki tarah...
Ab har Dafa nahin aati,
Par jab aati hai to Ajeeb lagta hai,
Kal Raat ki tarah...

Phir is Raat se Tumhari Yaad aayi hai,
Par Main Khush hoon ki Mujhe Sapna Yaad nahin....
Kyunki Phir Tumhara Zikkr hua hota is Sapne mein Agar,
To Tumko Bhulaane mein aur Waqt lagta........